DURGA CHALISA
Namo namo Durge sukh karani, namo namo Ambe dukh harani ||
Nirākār hai jyoti tumhāri, tihun lok pheli ujayāri ||
Shashi lalāt mukha māhā vishāla, netra lāl brikuti vikrālā ||
Rūpa mātu ko adhika suhāve, darasa karat jan ati sukh pāve ||
Tum sansāra Shakti laya kinā, pālan hetu anna dhan dinā ||
Annapurnā hui jag palā, tumhi ādi sundari bālā ||
Pralaya kāl sab nāshān hāri, tum Gauri Shiv Shankar pyāri ||
Shiva Yogi tumhare gun gāve, Brahmā Vishnu tumhe nita dhyāven ||
Rūpa Saraswati ko tum dhārā, de subuddhi Rishi Munina ubārā||
Dharā rūp Narsimha ko Ambā, pragat bhayin phār kar khambā ||
Rakshā kari Prahalād bachāyo, Hiranākush ko swarg pathāyo ||
Lakshmī rūp dharo jag māhi, Shrī Nārāyana anga sāmahi ||
Ksheri Sindhu mein karat vilāsā, dāya Sindhu dījay mana āsā ||
Hingalāj mein tumhi Bhavāni, mahimā amit na jāta bakhāni ||
Mātangi Dhūmāvāti Mātā, Bhuvneshwari Bagalā Sukhadātā ||
Shrī Bhairav Tārā jag tārani, Chinna Bhāla bhava dukh nivārini ||
Kehari vāhan sohe Bhavāni, lāngur vīr chalat agavāni ||
Kar mein khappar khadag virāje, jāko dekh kāl dara bhāje ||
Sohe astra aur trishūlā, jāthe uthata shatru hiya shūlā ||
Nāgarkoti mein tumhi virāje, tihun loka mein dankā bāje ||
Shumbha Nishumbha danava tum māre, Raktabīja shankhan sanghāre ||
Mahishāsur nripa ati abhimāni, jehi agha bhāra mahi akulāni||
Rūpa karāl Kālika dharā, sena sahita tuma tihin samharā ||
Pari grihr santan para jab jab, bhayi sahāya Mātu tum tab tab ||
Amarapuri aru basava lokā, tava mahimā saba rahen ashokā ||
Jwalā mein hai jyoti tumhāri, tumhen sadā puje nara nāri ||
Prema bhakti se jo yash gaye, dukh dāridra nikat nahin āve ||
Dhyāve jo nar man lāī, janam maran tāko chuti jāī ||
Jogi sur Muni kahata pukāri, jog na ho bin Shakti tumhāri ||
Shankar Acharaj tapaja kīnhon, kām krodh jīt sab līnhon ||
Nisidhin dhyān dharo Shankar ko, kāhu kāl nahin sumiron tum ko ||
Shakti rūp ko maram na pāyo, Shakti gayi taba man pachitāyo ||
Sharnāgat hui kīrti bakhāni, Jai Jai Jai Jagdamba Bhāvani ||
Bhayi prasanna ādi Jagdambā, dayi Shakti nahin kīna vilambā ||
Mokon Mātu kashta ati ghero, tum bin kaun hare dukha mero ||
āsha trishnā nipata satāven, ripu mūrakh mohe ati darpāve||
Shatru nāsh kīje Mahārāni, sumiron ekachita tumhen Bhavāni ||
Karo krupā he Mātu dayāla, Riddhi Siddhi de karahu nihālā ||
Jab lagi jiyūn dayā phal paoun, tumaro yash mein sadā sunaūn ||
Durga Chalisā jo koi gāye, sab sukh bhoga parampad pāve ||
Devidās sharan nij jāni, karahu kripā Jagdambā Bhavāni ||
Sharāngat rakshā kare, bhakta rahe nishank, me āyā teri sharan me,
Mātu lijiye ank ||